Translate

Saturday, 10 November 2012

---------{ Aye Naser Tu Khud Jan le Tera Hai Qasoor Kitna }---------

• Mujhe taj’jub hai us shaksh par jis ko mout k aane ka yaqeen hai aur phir bhi itrata aur akadta aur takabbur karta hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jis ko jahannam k moujood hone ka yaqeen hai phir bhi wo us se gafil ho kar hansta hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jo daikhta hai duniya apne chahne walon k sath kaisa
bura hashar karti hai phir bhi wo duniya se mutmain hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jo kal qabar aur qayamat k hisab ko janta hai phir bhi aml nahi karta.

----------{ Hai Nafs K Hathon Tu Majboor Kitna }----------

• Hai nafs k hathon tu majbor kitna,
• Sab jan k bhi hai aj la shaoor kitna,
• Jis chehre ne hai ek din matti men mil jana,
• Us chehry pe hai tujhe garoor kitna,
• Ek sajde k inkar ne IBLEES ko Shetaan bana diya,
• Tu khud jan le tera hai qasoor kitna,
• Jin ki sunnat pe chalna tujhe gawara nahi,
• Tere liye roye the woh HUZOOR kitna,
• Tune chakhi hai fakhat Gunahon ki lazzat,
• Tu kiya jane zikr-e-ilahi men hai suroor kitna,
• Teri shahrag se bhi ziyada jo tere qareeb hai,
•Phir bhi tu us khuda se hai door kitna!

---------------------{ Think About It }---------------------

No comments:

Post a Comment