Esa-ale-salam tashrif le ja rahe the ek daku ki nazar padi
choti par rehta tha pahad ki to us ne jab nur-e-nabuwat dekha toh ya allah meri
tauba or niche uthra or esa-ale-salam k peche chalne laga esa-ale-salam k ashab
yani sahabi.
Har nabi k sahabi sabse afzal hote hai har daur k lehaz se
toh inhe hawariye rasul kehte hai allah ne inhe hawarein ka khitaab diya jin quraan tarif karta hai ye wo log hai.
Toh ye daku un k baraber chalne lage toh hawariye rassul toh u dekh kar kehta hai “ohhh!!!!” bada aya
nek pak ye matlab tha k tu kidhar mu uth kar aya hai tut oh khatil daku badkaar
sharabi tu kya karraha hai sirf “ohhh!!!!” koi jumla nhi aaj toj logo ne jumle
bol bol kar logo k kalejo ko jala kar rakh diya hai par un diwano ko pata nhi
hai k apne deen ko apni zubaan se aag laga rahe hai .
“ohhh!!!!” ek dum jibrail aaya ya nabi allah ya ruh allah
mai allah ka bheja huwa aayaa hu aap k peche do aadmi chal rahe hai mere allah
ne kaha ne kaha ek mera mujrim tere peche aya hai usse kaho k tera allah tujh se
keh raha hai tu aaj naee zindagi shuru kar mai ne tere pechle sare gunha maaf
kar diye hai.
Ya ruh allah ek aap ka hawari chal raha hai usse allah ka
paigham aya hai usse kaho k tub hi naee zindagi shuru kar mai ne tere sari
nekiyo ko zaye kar diya hai.
Tu thekedaar hai mere bande ka tu koun hai “ohhh!!!!” karne
wala.
Deen toh kehta hai nachne wali se bhi nafrat na karo , ye
nek logo me ayeb talash karte phirte hai ye maulvi ye karte hai ye tableege ye
karte hai ye haji ye karte hai ye namazi ye karte hai kabhi ander bhi toh dekha
kar k tu kya karta hai ….. aapne maan me doob kar pa ja surag-e-zindagi … jo
kabhi ander nhi dekhta wo bagair tauba k mar jata hai usse tauba nasib nhi hoti
jo auro k ayeb dekhta hai…..
No comments:
Post a Comment