Translate

Thursday, 8 November 2012

                11 tareeq ka ye zumedari ummat k taraf muntakhil hui hai bade dukh atesham k sath badi aan baan k sath badi that baat k sath samne siddiqe bhi hai or samne wo bhi jis ne aaj allah k nabi ko dekha hai us k baad sari zindagi palat kar nhi dekha is chote darje k sahabi se lekar siddiqe,usmaan,umar,ali ,farooq jaise khade huve hai sab ki taraf ye paigham muntakhil ho raha hai k mera paigham ko dunnaya me pohcha do, toh us amanat ko uthaya hai or 92 hijri 82 saal k ander ander 11 hijri me aap inteqaal huwa hai.
13 tariq  ko aap kunkar marne k baad wahan se aap, makka se madina k taraf nikle hai 8 din baad aap madina poche hai .
Aap k jane me 5 din baki hai, toh aap farmate hai k mujhe gussal diya jaye. Aap ko gussal diya gaya saat kowan k pani se us k baad aap aapni pagdi ko kas k bandha.kyon k sir me dard tha or ali or abbas k khandho par hath rakh kar aap member par tashrif farma huve musjid bhai huvi hai or aap ne farmaya.
Logo mai kuch zamana tumhare bich guzar kar jaraha hu .
Mai ne kisi ka haq mara ho
Mai ne kisi ko thappad mara ho
Mai ne kisi ko be izzat kiya ho
Toh mai aaj hazir hu mujh se jo badla lena hai lelo aakhirat me mere khilaaf dawa na karna yahan mai hazir hu mera maal meri jaan meeri abrooh yahan badla lena hai lelo aakhirat me mere khilaf dawa na karna…aap ne musalsil ye farmaya sahabi rone lage,
Phir aapne namaz padai phir member par aakar aapne phir dobara farmaya mujh se badla lena hai lelo toh ek sahabi kahde huwe or farmaya ya rasuallah aap  ne mere 3 rupee dena hai aap ne farmya dene honge par kis baat k ek baar aap k pass nhi the toh mai ne diye the haan haan abbas k bet mera kharza tere zumme hai haan mere zume hai.
Jumerat ko insha ki namaz ko uthe or poocha namaz ho gae toh sahaba ne kaha nhi aap ka intezar hai aap uthne lage gash kha kar gir gaya phir thodi dair baad hosh aya to aap ne farmaya namaz ho gaee nhi aap ka intezar hai .
Toh aap ne abubakar se kaha namaz padhaye aaj pheli baar nabi k mussalle par ghair naabi anew ala hai aaj pheli dafa huwa hai uhi nhi aasakta baighair inteqaab k nhi aa sakta . logo k samjha namaz hi padani hai toh umar phili saf me the toh unhe aage kiya gaya or abubakar teesri saf me the toh unho ne umar ko aage kiya .
Jaise umar razi allahhu tala ne allha hu akbar kaha toh allah k nabi andhar chaar paee par so huwe the toh umar ki awaz suni or jaldi se uth kar zor se awaz lagaee umar ko peche karo abubakar ko aage karo mere rab ne kaha mere mussalle par abubakar k siva or koi nhi khada ho sakta toh umar ko nazam thod kar peche kiya gaya hai or phir abubakar ne namaz padai .
12 rabi-e- awal agaee Monday ki subah 7 jun 633 isvi or 11 hijri fazar ki namaz k baad k liye aap , abubakar namaz pada rahe hai hazrat anas philiu saf me hai toh aap ne khidki kholi or aapne sahaba ko ek nazar dekha nazro se nazre char huvi phir aap ne parda gir diya ye akhir jhalak thi ummat ki liye.
Or koi 10 se 12 baje ka waqt hai jibrail andhar aata hai aaj ane ka andaz luch gham gheen sa hai or keht hai ya rasulallah maut ka farishta darwaze par aa chukka hai or ander aane ki ijazat chata hai toh aap ne irshad farmaya ijazat hai . malekal-e- maut andar kar kehta hai assalamualaikum ya rasulallah aaj ye pheli dafa hai malekal-e- maut kisi ko salam nhi karta na phele kiya na ainda karenga .
Ya rasulallah jab se maut ka kaam mere zumme huwa ye phili dafa hai k aap k rab ne farmaya pooch kar jana bin pooche na jana… aana chahe toh le ana or rehna chahe toh chod kar aa jana  .
Toh aap ne farmaya agar mai kahu meri jaan nikalo toh meri bhi nikaloge haan aap ki bhi nikalunga toh aap ne jibrail se kaha kya kehte ho jibrail ne farmaya ya rasulallah ALLAH aap ki mulaqat ka shauq rakhta hai aage aap ki marzi . toh aap ne farmaya accha jao phele allah se pooch kar aao meri baad meri umat k sath kya karega ye nhi farmaya k mere baad meri alad k sath kya karega Hassan Husain k sath kya karega  Husain ko toh ankareeb zaba kar rahe hai or us ka sir nezo par chadne wala hai or mewra khandaan boti boti hone wala hai us ka khoon pani ki tarha behne wala hai .
Toh jaao pooch kar aao mere baad meri ummat k sath kya karega alad ko allah ki taqdir k hawale kar diya . ja ja mera paigham de mere rab ko mere baad meri ummat k sath kya karega ,
Toh allah ka paigham aye mere mahboob mai tere baad teri ummat ko tanha nhi chodunga sath dunga mera un par saya rahe ga.
Toh aap ne farmaya “”al anakharata ayeni” meri ankhen thandi hai mera kaam ho gaya “ allah humma rafiqul alla” ya allah aab mujhe tere pass bulale ..
Phir jate waqt bhi ummat ko hi dawat deta chala gaya ummat ko nasihat farmaee hai sare deen ka khulasa do batein  jo meri nabi ne jate huve farmaya “assalat wamamalekat emanakum” aye meri ummat namaz na chodna or aapas me suluk rakhna or khas tour par mere ummat k gareebo par rahem khana in firoon na ban jana…

No comments:

Post a Comment