Translate

Saturday, 10 November 2012

Toh mere bhayyo dil se tauba karo is zindagi se allah hummeh maaf karde


Bani esrail me ek nowjawan shakhs tha jis ka naam kifil tha , wo rozana har raat ko new ladki pehlu me lata tha sharab or aurat us ka raat ka kaam tha, ek raat ek ladki ko aapne pehlu me laya 60 dinaar de kar ek aurat k liye ek raat ka haram 60 dinaar socho kitni doulat hogi. Jab wo ladki k sath kamre me alag huwa hai toh us ki taraf dekha to us  k khamosh aansu tapak rahe the toh kifil ne poocha kyon ro rahi ho toh wo kehne lagi mai Peshawar aurat nhi hu mai izzatdaar hu mujhe bhook ne yahan tak pochaya hai toh kifil laraz gaya or us k ankho me aansu agaye or kehne laga tu meri bahen hai jis izzat k sath aaee thi us izzat k sath chalija mere liye dua karna mai bada kamina insaan hu alla mujhe mauf karde mai tere ansu k tufail tauba karta hu.

                Kifil ko nhi pata agle lamhein kya hone wale hai ye ladki ghar pochti hai or kifil dhadam girta hai or mar jata hai akhiri lamhat ki tauba hai aab aab aab kal agar is ka murda lasha milta hai toh koi isse gussal dene nhi ayega koi is ki mayyat uthane nhi aayega koi isko kafan dene nhi aayega ye aisa ruh siya nojawan tha .”   TO MERE ALLAH PAR SADQUE KURBAAN JAU WAH MERE MUALA TU KYA AJAB SHANSHA HAI SUN RAHA HAI     mere allah ne khanoon badal diya akhirat ki batein chupi huvi barzaq ki batein chupi huvi par mere allah ne khanoon badal diya jab subah huvi toh logo ne dekha kifil ki diwar par darwaze par noorani satro likhe huwa tha “innalallahu qud ghurullil kuffil “all ne yakeenan kifil ko mauf kardiya hai jao janaze ko intezaam karo jao kafan ka intezaam karo rab  ki rehmat use aapne chau me le chuki hai allah ki rehmat ki jholi me aachuka hai.

Toh mere bhayyo dil se tauba karo is zindagi se allah hummeh maaf karde

Source: tirmizi sharif

No comments:

Post a Comment