11
tareeq ka ye zumedari ummat k taraf muntakhil hui hai bade dukh atesham k sath
badi aan baan k sath badi that baat k sath samne siddiqe bhi hai or samne wo
bhi jis ne aaj allah k nabi ko dekha hai us k baad sari zindagi palat kar nhi
dekha is chote darje k sahabi se lekar siddiqe,usmaan,umar,ali ,farooq jaise
khade huve hai sab ki taraf ye paigham muntakhil ho raha hai k mera paigham ko
dunnaya me pohcha do, toh us amanat ko uthaya hai or 92 hijri 82 saal k ander
ander 11 hijri me aap inteqaal huwa hai.
13 tariq ko aap
kunkar marne k baad wahan se aap, makka se madina k taraf nikle hai 8 din baad
aap madina poche hai .
Aap k jane me 5 din baki hai, toh aap farmate hai k mujhe
gussal diya jaye. Aap ko gussal diya gaya saat kowan k pani se us k baad aap aapni
pagdi ko kas k bandha.kyon k sir me dard tha or ali or abbas k khandho par hath
rakh kar aap member par tashrif farma huve musjid bhai huvi hai or aap ne
farmaya.
Logo mai kuch zamana tumhare bich guzar kar jaraha hu .
Mai ne kisi ka haq mara ho
Mai ne kisi ko thappad mara ho
Mai ne kisi ko be izzat kiya ho
Toh mai aaj hazir hu mujh se jo badla lena hai lelo aakhirat
me mere khilaaf dawa na karna yahan mai hazir hu mera maal meri jaan meeri
abrooh yahan badla lena hai lelo aakhirat me mere khilaf dawa na karna…aap ne
musalsil ye farmaya sahabi rone lage,
Phir aapne namaz padai phir member par aakar aapne phir
dobara farmaya mujh se badla lena hai lelo toh ek sahabi kahde huwe or farmaya
ya rasuallah aap ne mere 3 rupee dena
hai aap ne farmya dene honge par kis baat k ek baar aap k pass nhi the toh mai
ne diye the haan haan abbas k bet mera kharza tere zumme hai haan mere zume
hai.
Jumerat ko insha ki namaz ko uthe or poocha namaz ho gae toh
sahaba ne kaha nhi aap ka intezar hai aap uthne lage gash kha kar gir gaya phir
thodi dair baad hosh aya to aap ne farmaya namaz ho gaee nhi aap ka intezar hai
.
Toh aap ne abubakar se kaha namaz padhaye aaj pheli baar
nabi k mussalle par ghair naabi anew ala hai aaj pheli dafa huwa hai uhi nhi
aasakta baighair inteqaab k nhi aa sakta . logo k samjha namaz hi padani hai
toh umar phili saf me the toh unhe aage kiya gaya or abubakar teesri saf me the
toh unho ne umar ko aage kiya .
Jaise umar razi allahhu tala ne allha hu akbar kaha toh
allah k nabi andhar chaar paee par so huwe the toh umar ki awaz suni or jaldi
se uth kar zor se awaz lagaee umar ko peche karo abubakar ko aage karo mere rab
ne kaha mere mussalle par abubakar k siva or koi nhi khada ho sakta toh umar ko
nazam thod kar peche kiya gaya hai or phir abubakar ne namaz padai .
12 rabi-e- awal agaee Monday ki subah 7 jun 633 isvi or 11
hijri fazar ki namaz k baad k liye aap , abubakar namaz pada rahe hai hazrat
anas philiu saf me hai toh aap ne khidki kholi or aapne sahaba ko ek nazar
dekha nazro se nazre char huvi phir aap ne parda gir diya ye akhir jhalak thi
ummat ki liye.
Or koi 10 se 12 baje ka waqt hai jibrail andhar aata hai aaj
ane ka andaz luch gham gheen sa hai or keht hai ya rasulallah maut ka farishta
darwaze par aa chukka hai or ander aane ki ijazat chata hai toh aap ne irshad
farmaya ijazat hai . malekal-e- maut andar kar kehta hai assalamualaikum ya
rasulallah aaj ye pheli dafa hai malekal-e- maut kisi ko salam nhi karta na
phele kiya na ainda karenga .
Ya rasulallah jab se maut ka kaam mere zumme huwa ye phili
dafa hai k aap k rab ne farmaya pooch kar jana bin pooche na jana… aana chahe
toh le ana or rehna chahe toh chod kar aa jana
.
Toh aap ne farmaya agar mai kahu meri jaan nikalo toh meri
bhi nikaloge haan aap ki bhi nikalunga toh aap ne jibrail se kaha kya kehte ho
jibrail ne farmaya ya rasulallah ALLAH aap ki mulaqat ka shauq rakhta hai aage
aap ki marzi . toh aap ne farmaya accha jao phele allah se pooch kar aao meri
baad meri umat k sath kya karega ye nhi farmaya k mere baad meri alad k sath
kya karega Hassan Husain k sath kya karega
Husain ko toh ankareeb zaba kar rahe hai or us ka sir nezo par chadne
wala hai or mewra khandaan boti boti hone wala hai us ka khoon pani ki tarha
behne wala hai .
Toh jaao pooch kar aao mere baad meri ummat k sath kya
karega alad ko allah ki taqdir k hawale kar diya . ja ja mera paigham de mere
rab ko mere baad meri ummat k sath kya karega ,
Toh allah ka paigham aye mere mahboob mai tere baad teri
ummat ko tanha nhi chodunga sath dunga mera un par saya rahe ga.
Toh aap ne farmaya “”al anakharata ayeni” meri ankhen thandi
hai mera kaam ho gaya “ allah humma rafiqul alla” ya allah aab mujhe tere pass
bulale ..
Phir jate waqt bhi ummat ko hi dawat deta chala gaya ummat
ko nasihat farmaee hai sare deen ka khulasa do batein jo meri nabi ne jate huve farmaya “assalat
wamamalekat emanakum” aye meri ummat namaz na chodna or aapas me suluk rakhna
or khas tour par mere ummat k gareebo par rahem khana in firoon na ban jana…