Translate

Saturday, 10 November 2012

----------------{ Aye Naser Tujhe Kya Hogaya }----------------


• Tu ne apni ibadaton ko sirf pareshani aur musibat k waqt k liye hi rakha huwa hai.
• Tu ne 70maao se zyada chahne wale Rab ko sirf apni waqti khwahesh k liye Naraz kiya huwa hai.
• Zara sonch to sahi wo Rab hai k jis ne itne gunah karne k bawajood teri aankhen na nikali, tere hath aur pairon ko salamat rakha, aur tu hai k us se door
hi hota ja raha hai.
• Yaad rakh! Tujhe aaram k liye nahi bal k “Imtehan” k liye bheja gaya hai.
• Wo zaat jis ne tumhen mitti se insan banaya.
• Wo zaat jo tumhare gunahon k bawajood tumhen har roz rizq deta hai.
• Wo zaat jo tumhari toba pe tumhari gunahon ko bhi naikiyon me badal deta hai.
• Wo zaat jo tumhare raaz jante huwe bhi tumhari sarkashi k bawajood unhen fash nahi karta.
• Wo zaat jis ne tumhen fazilat bakhshi tamam makhooq par.
• Wo zaat jis ne tumhare liye Quran utara ta k tum rahe hidayat pa sako.
• Aur tum apne rab ki kis kis naimat ko jhutlaoge.


No comments:

Post a Comment